Saturday, March 14, 2009

the poem i admire and recite thousands of times and still it tantalizes my sense anew.every time i read it,its a new experience

RAAT AADHI..(Harivanshrai Bachchan)

raat aadhi, kheench kar meri hatheli
ek ungli se likha tha pyaar tumne..

faasla tha kuch hamare bistaron mein,
aur charo ore duniya so rahi thi.
tarikaain hee gagan jaanti hain
jo dasha dil kee tumhare ho rahi thi.
main tumhare paas ho kar door tum se
adh jaga sa aur adh soya hua sa....

raat aadhi ,kheench kar meri hatheli
ek ungli se likha tha pyaar tumne...


ek bijli chhoo gayee sehsa jaga mein
krishna pakshi chand nikla tha gagan mein.
is tarah karvat padi thi tum ki aansoo
beh rahe they is nayan se us nayan mein.
main laga doon aag us sansar mein
hain pyaar jis mein is tarah asamarth-kaatar...

jaanti ho us samay kya kar guzarne
ke liye tha kar diya tayyar tumne....

raat aadhi ,kheench kar meri hatheli
ek ungli se likha tha pyar tumne....


praatah hee ki ore ko hai raat chalti
aur ujale mein andhera doob jaata.
manch hee poora badalta kaun aisee
khoobiyo ke saath parde ko uthata.
ek chehra sa laga tumne liya tha,
aur maine tha utara ek chehra.
woh nisha ka swapna mera tha,kee apne
par gazab ka tha kiya adhikar tumne...

raat aadhi, kheench kar meri hatheli
ek ungli se likha tha pyaar tumne...

aur utne faasle par aaj tak...
sau yatan karke bhi na aaye phir kabhi hum.
phir na aaya waqt vaisa ,
phir na mauka us tarah ka,
phir na lauta chaand nirmam.
aur apni vedna main kya batau?
kya nahi yeh panktiya khud bolti hain?
bujh nahi paaya abhi tak,us samay jo
rakh diya tha haath par angaar tumne..

raat aadhi kheench kar meri hatheli
ek ungli se likha tha pyaar tumne...

1 Comments:

Blogger mx said...

brilliance overflowing....
a journey incomplete...or maybe otherwise.

August 8, 2009 at 9:31 AM  

Post a Comment

Subscribe to Post Comments [Atom]

<< Home